Friday, August 5, 2011
Dil ke kisi kone se...
Jab jab maine sheeshe mein apne aap ko dekha hain..
Kahin na kahin tumhara chaap dekha hain.
Hothon ki Dabi Muskaan mein,
Maathe ki unn hazaaron silvaton mein,
Aankhon ke neeche dikhne lagi jhurriyon mein,
Baalon ki kuch unsuljhi hui laton mein,
Jab jab maine sheeshe mein apne aap ko dekha hain..
Kahin na kahin tumhara chaap dekha hain.
Woh shaam ki chai ki zor ki chuskiyan
Woh khuli sadkon par bejijhak safar
Tumse karni thi mujhe kitni hi baatien
Gussa aata hai, toh kambakht waqt par...
Jab Jab maine sheeshe mein apne aap ko dekha hain..
Kahin na kahin tumhara chaap dekha hain.
Mere roothne ki woh kachchi zidd
Tumhaare manaane ki woh meethi koshish
Dinbhar ki doori ke baad, uss pal ka intezaar
Door se mili nazron mein bhi thi ek gehri kashish
Jab jab maine sheeshe mein apne aap ko dekha hain..
Kahin na kahin tumhara chaap dekha hain.
Zindagi ki iss tez daud mein
Facebook aur Twitter ki bheed mein
Uss shaam ki chai ka waqt kahan
Baarish mein nange pair bheegne ka jazba kahan
Yaad aati hain mujhe tumhaari woh nazar
Jis pyaar se tum mujhe dekha karte the
Sharm se jab meri nazar jhuk jaati
Toh tum sheesha liye mere saamne aake kehte,
'Jab main saamne na rahoo.. tum apni aankhon mein mujhe dhoond lena"
Jab jab maine sheeshe mein apne aap ko dekha hain..
Kahin na kahin tumhara chaap dekha hai!
Labels:
Ashley Warbritton Art,
Love,
moods,
musings
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment